Today's Song: Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko by Lata

[audio:Sahir Ludhianvi_The Golden Collection – Sahri Ludhianvi_08_Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko.mp3]

Aurat ne janam diya from the movie “Sadhana” sung by Lata (Music by N Datta & lyrics by Sahir)

This is by far the most telling commentary on men’s lust by a poet.  Sahir’s use of religious undertones from both, Hinduism and Islam, while he himself was an atheist, is very amazing and used with great effect.

I have included the lyrics below for their use both in English and Hindi lipi.

aurat ne janam diyaa mardoN ko, mardoN ne use baazaar diyaa
jab ji chaahaa maslaa kuchlaa, jab ji chaahaa dutkaar diyaa
aurat ne janam diyaa mardoN ko

tulti hai kahin deenaaroN mein, bikti hai kahin baazaaroN mein
nangi nachvaai jaati hai, aiyyaashoN ke darbaaroN mein
ye vo be-izzat cheez hai jo, baNT jaati hai izzatdaaroN mein
aurat ne janam diyaa mardoN ko

mardoN ke liye har zulm ravaaN, aurat ke liye ronaa bhi Khataa
mardoN ke liye laakhoN sejen, aurat ke liye bas ek chitaa
mardoN ke liye har aish kaa haq, aurat ke liye jeenaa bhi sazaa
aurat ne janam diyaa mardoN ko

jin hoThon ne inko pyaar kiyaa, un hoThon kaa vyopaar kiyaa
jis kokh mein inkaa jism Dhalaa, us kokh kaa kaarobaar kiyaa
jis tan se uge kopal ban kar, us tan ko zaleel-o-Khaar kiyaa
aurat ne janam diyaa mardoN ko

mardoN ne banaayee jo rasmen, unko haq kaa farmaan kahaa
aurat ke zindaa jalane ko, qurbaani aur balidaan kahaa
qismat ke badle roTi di, aur usko bhi ehsaan kahaa
aurat ne janam diyaa mardoN ko

औरत  ने  जनम  दिया  मर्दों  को, मर्दों  ने  उसे  बाज़ार  दिया
जब  जी  चाहा  मसला  कुचला  , जब  जी  चाहा  दुत्कार  दिया
औरत  ने  जनम  दिया  मर्दों   को

तुलती  है  कहीं  दीनारों  में , बिकती  है  कहीं  बाज़ारों  में
नंगी  नाच्वाई  जाती  है , ऐय्याशों  के  दरबारों  में
ये  वो  बे -इज्ज़त  चीज़  है  जो , बंट  जाती  है  इज्ज़त्दारों  में
औरत  ने  जनम  दिया  मर्दों  को

मर्दों  के  लिए  हर  ज़ुल्म  रवां  , औरत  के  लिए  रोना  भी  खता
मर्दों  के  लिए  लाखों  सजें , औरत  के  लिए  बस  एक  चिता
मर्दों  के  लिए  हर  ऐश  का हक,  के  लिए  जीना  भी  सज़ा
औरत  ने  जनम  दिया  मर्दों  को

जिन  होठों  ने  इनको  प्यार  किया , उन  होठों  का  व्योपार  किया
जिस  कोख  में  इनका  जिस्म  ढला , उस  कोख  का  कारोबार  किया
जिस  तन  से  उगे  कोपल  बन  कर , उस  तन  को  ज़लील -ओ -खार  किया
औरत  ने   जनम  दिया  मर्दों  को

मर्दों  ने  बनायी  जो  रस्में , उनको   हक  का  फरमान  कहा
औरत  के  ज़िंदा  जलने  को , कुर्बानी  और  बलिदान  कहा
किस्मत  के  बदले  रोटी  दी  , और  उसको  भी  एहसान  कहा
औरत  ने  जनम  दिया  मर्दों  को

Audio File: Sahir Ludhianvi_The Golden Collection – Sahri Ludhianvi_08_Aurat Ne Janam Diya Mardon Ko.mp3

Great! You’ve successfully signed up.

Welcome back! You've successfully signed in.

You've successfully subscribed to Drishtikone - Online Magazine on Geopolitics and Culture from Indian Perspective.

Success! Check your email for magic link to sign-in.

Success! Your billing info has been updated.

Your billing was not updated.